April 14, 2008

Mata evam Bhakt ka vaartalaap.

Mr. M.K.Gandhi once said- "Wit is the salt of conversation and not the food of it." May hold true but you might as well beg to differ once you read this. A conversation that happened between me and my counterpart in college, VIKRANT (fondly known as Veekrantt in accounts class)
moZARt: richa...
me: :D
11:53 PM moZARt: ask swati ravi.....if she knows someone named Kedar from NIFT Chennai???
me: bolo mozart vicky
swati ravi is currently unavailable in the room
moZARt: mozart vicky!!!!!!!!!!!!!!!!!!yeh kahan se dhoondh liya tumne????????????????
me: she is out
hum antaryaami hain
11:54 PM gyaani hain
moZARt: arey batao kanya..........hamari bhoodhii chakra rahi hai...tumhari antaryamiyat dekh kar.
11:55 PM me: rok lo balak apni chakraati hui buddhi ko
anyathaa
moZARt: anarth ho jayega???
yahi kahna chah rahi ho?????
me: nahi
moZARt: shit...
11:56 PM hamne socha ham bhi antaryami hain!!
me: bas sentence wahi par khatam tha
moZARt: actually hamara sentence wahi shuru hota hai...jahan sabka khatam!!!
me: ab humaaare jaise bade nahi par chote mote toh ho hi sakte ho
achcha
11:57 PM humara toh shuru hi nahi hota
moZARt: ham aapko dandvatt parnaam karte hain!!
11:58 PM me: vats ek prashn ka uttar do
moZARt: or apni parazay sweekartay hain!!!!
poochiye........par kripya hamari bhoodhikaushal kaa khayal rakh kar poochiyegaa!!!
me: haan isi mein tumhari bhalai honi chiye
avashya
11:59 PM yah chitra jo tumhaare google vaartalaap k patal par laga hai
kis nireeh jeev ka hai?
jo dharti mein hi sama jaana chaahta hai
12:00 AM moZARt: yeh nireeh jeev ham hi hain.....
me: parantu aisa kay ho chala jeevan mein
12:01 AM jiske karan yah dharti mein sama jaane ki avashyakta aan padi
moZARt: matay........
12:02 AM me: haha
uvaacho
moZARt: jeevan mein kuch nai ho raha...isiliye yeh jeev pareshaan hai....
me: yah vasttah is karan hai ki tum karmsheel nahi ho
prayatno vidheyah prayatno vidheyah
12:03 AM arthaaat...
prayatn karte raho
12:04 AM moZARt: lekin kab tak matey.......koi toh anth hoga iss awastha ka.......kab tak iss karamsheeltah kay bhanwar mein ghoomta rahunga mai....koi parinaam chahiye...jo hamein agarsarr kart rahe......
kripya prakash daliye ...matey!!
12:05 AM me: avashya
parinaam ka apna samay hota hai
kaal hota hai
kaal se pehle yadi ishwar b chaahe toh bhi tumhe tumhara ukt phal pradaan nahi kar sakta
12:06 AM atah dhairya se kaam lekar karm karo
phal tapak hi jaaega samay aane par
tabhi is awastha ka ant hoga
12:07 AM evam tum
sukh k sagar mein gote lagaaoge
12:08 AM moZARt: par matey.....
kab tak ham iss bhanwar mein ghoomtey rahenge....
me: jab tak bala ka saaya tumhaare sheesh par rahega
moZARt: ishwar koi rah toh dhikaye...yeh toh bataye kay ham thik jaa rahein hain!!!
12:09 AM me: tumhaari yahi sthiti rahegi
atah tumhe balaant k baad hum sukhi upaay karne ki aavashyakta hai
12:12 AM moZARt: bahut acha matey.......
aapka kya huqm hai...
ham us tasweer ko badal de........ho sakta kuch ho hi jaye???
12:13 AM me: haan uske sar par ugte huye sooraj ko dekho aur prerna lo.. uski chamak k samaan tejaswi bano
tumhara bhala hoga
moZARt: jai ho maiya ki!!!!
chorus: Jai Ho...Jai Ho..!!!
12:14 AM me: (Slow smile by mata, chakra revolving in background)
tathaaastu!!!
12:15 AM moZARt: {bhakton ki aankhon mein shradhaa ka bhav}....
12:16 AM me: (maata dhire dhire antardhyaan hoti hui slow smile k saath)
bala ka chamakta chaand smaran rahe...
12:19 AM moZARt: Bala....ki tasweer hamare kaksh mein lagi hui hai.....
roz subah matha tek kar hi aata hun college....
me: roz pratah kaal mein pushp arpan aur bala chalisa b padhte ho ya nahi?
12:20 AM moZARt: maaaatey.......bala chalisa hamein kanthasth hai!!!
12:21 AM me: yah toh harsh ka vishay hai
nitya paath se jeevan ki raahein saphal hongi
12:22 AM moZARt: {bhakt ki aankho mein chamak}{mata kay liye aadar ka bhaw}...
12:23 AM {background mein shankhdhwaanni bazti hui}...
12:24 AM me: (maata bhakt ki bhakti dekh bhaav vibhor hoti hui) achcha vats humara kaarya is kritrim sthaan par poorna hua ab hum vaastvik jeevan ki or badh rahe hain. tumhaare kaarya saphal ho. tathaastu!!!
12:25 AM moZARt: jai ho mata ki....
tannnnnnnnnnnnnnnnnn....tannnnnnn.tannn
me: haha
shubh raatri
moZARt: ek baat....
must tel u!!!!!
12:26 AM me: kaho
moZARt: kudos !!!!!!
me: dhaniyabaad
moZARt: first time i talked wid a gal wid actually a gud sense of humour!!!!
me: par kaahe?
ohh
achcha
moZARt: this specie lacks this.........u have one!!!!!
12:27 AM me: yah toh sarvatha aapki kripa hai
kaampleement k liye shukriya
12:28 AM moZARt: nahi....i actaully laugh out loudly on that mata kay bckgroun mein chakr n all
me: hehe
mee too on urs
u r good
moZARt: tum fir maje le rahi ho...matey!!!
12:29 AM me: nahi nahi vats yah ost hai satya vachan hain
moZARt: ham aapke aabharii hain!!!!
12:30 AM me: chalo tum abhaari raho apan chale ninni ki duniya mein
sayonara
moZARt: ham bhi.....
hasta la vista!!!
me: pehli baar sahi spelling
12:31 AM wow good
sab asta la vista likhte hain
tum smart bhakt ho
moZARt: yahi farak hai sachin or shreeesanth mein......
12:32 AM me: aur b hain farak toh sachin kuch b kar le srisanth jitni badi nak nahi fulaa sakta
chalo good of the nite hai
moZARt: buenas noches!!!!
me: over n out!
moZARt: out!!!
me: mallab????
12:33 AM moZARt: arey hamne socha jab tak ham over and out likhe kahin aap so naa jaye...so y to take risk!!!!
me: oh
:P
12:34 AM moZARt: hamati intentions hamesha shuudh hoti hain!!!
chalo final waali......
SHUBHRAATRI!!!!!
me: same to u
moZARt: SHABBAKHAIR!!!!
EK MINUTE....
just tel me...
me: diya
12:35 AM ki..
moZARt: how is my new status message???
me: better than the last one
i like rude things :)
moZARt: shud i keep it......sahi jagah asar karegaa!!!!!
????
12:36 AM me: haan karna toh chiye
humpe toh karne b laga
moZARt: matey!!!
me: :)
12:37 AM moZARt: its seriously too gud....
me: asking or telling??
moZARt: both???
12:38 AM me: arey swati prashn kar rahi hai
moZARt: both
me: kaun keshav
i agree
with wt u say
poorna naam batao
12:39 AM moZARt: not keshav......kedar naik
me: nahi usko is vishay mein koi gyaan nahi hai
12:40 AM ab is polar bear ko kshamaa karein
yah prasthaan kar raha hai
12:41 AM moZARt: or if she knows neha sareen???
me: "haaan shayad kaun hai ?" yah vachan hain
12:42 AM ravi saahiba k
12:43 AM moZARt: i got dat
12:44 AM me: :)
agyaani manushya hai bas yahi prateet ho raha hai
12:46 AM moZARt: she from nift chennai
12:47 AM me: still doesnt help
:D
12:48 AM (mata ka palayan)

No comments: